Shawwal Ke Roze Ki Ahmiyat In Urdu

Shawwal Ke Roze Ki Ahmiyat:-


Ahle Iman aur Tamam Musalman Ramzan ul Mubarak ke mahina mein Allah Ta'ala ki Ibadat aur Sadqa waghaira jaisy Nekion ke zariye Allah Ta'ala ka Qurb aur Usay Raazi karne ki Koshish karte hain.Aur Allah ke bohat Qareeb ho jaate hain. Lekin Ramzan ke Jaane ke baad woh Udaas aur pareshan ho jate hain.Aur Eid ki Khushi ke baad Ramzan ul Mubarak ki Sehri o Iftari ke Khoobsurat Manzar nigaahon ke saamne aaye to woh Ro parhtay hain.Lehaza Allah Ta'ala ne Aisay hi Iman waalon ke liye Eid ke baad Shawwal ke Rozay Tohfa ke tor par Ata Farmaye hain.



Shawwal Ke Roze Ki Ahmiyat In Urdu


Allah Ta'ala ke Rasool (S.A.W) ne Farmaya:

"Jo shakhs Ramzan ul Mubarak ke Rozay pooray kar ke Shawal ke mahina mein 6 Nafli Rozay rakh le ga, usay Allah Ta'ala Pooray Saal ke Rozon ka Sawaab Ata Farmaye ga." [صحیح مسلم]


Dekha Aap ne kitna ziada Ajar o Sawaab hai in 6 Rozay rakhne ka.Dosto! Yeh Rozay Ek saath Baghair Waqfa kiye bhi rakh saktay hain aur Pooray mahinay mein Bhi 6 Rozay poore kiye Ja saktay hain. Lekin Sawal ke mahina mein rakhna zaroori hai.
Aur Agar Eid ke doosre din Lagatar 6 Rozay pooray kar liye jaaye to Yeh ziada Afzal Amal hai.Aur in ke baad koi Eid nahi hai.

Bhaiyo! Ibadat aur Aur Naik Amal chahe Farz ho ya Nafal, Allah Ta'ala ke haan uski bahut Qadar aur Ahmiyat hai. Kyun Allah Ta'ala ka Farmaan hai ke:

"Jo Iman ki haalat mein Naik Amal kare to uski koshish ki bohat Qadar ki Jaye gi.Aur Hum uske Is Amal ko likh lein gay." [سورہ الانبیاء]



Shawwal Ke 6 Rozay Ke Masail

"Apni khushi se Bhalai, Neki ke kaam aur Nafal Ada karne walon ki Allah Ta'ala Qadar karne Wala hai. Aur unko khoob Jaane wala hai." [سورہ البقرہ]


In Qurani Ayaat se Maaloom huwa ke Nafal Namaz aur Rozay ki bhi Allah Ta'ala ke haan bohut Qadar o Qeemat aur Ahmiyat hai. Haqeeqat Yeh hai ke Nafali Roza ho ya Nafali Namaz, Nafli Sadaqa ho ya koi aur ibadat, Is ke motalliq Pyare Nabi (S.A.W) ne Farmate hain ke:

"Allah Ta'ala Farmata hai ke Mera Banda Nafli ibadat ke zariye se mere Qareeb hota rehta hai.Yahaan tak ke Main bhi us banday se Mohabbat karne lagta hoon." Subhan Allah. [6502:صحیح بخاری]


Nafali Rozon ka faida Yeh bhi hai ke Qayamat ke Din insan ke Farzi Rozon mein jo Kami kotahi reh jaye gi usay in Nafali Rozon se poora kiya Jaye ga.ا اللہ اکبر 
kitni Ahmiyat hai Nafali Rozay ki ke Yeh Qayamat ke Din Farz ka kaam de ga.Zara Sochiye! ke Kami aur kotahi to Har insan ke Farzi Rozon aur Ibadat mein ho hi jaati hai.Is liye Farz Rozon ke sath sath kuch Nafal Rozay bhi Insan ko rakhne chaahiye. Taa ke Farz mein jo kami reh gayi hai woh Nafal ibadat se Poori ho jaye.


Shawwal Kay Rozay Ki Fazilat In Urdu


Rasool (S.A.W) ne irshad Farmaya:

"Jannat ke 8 Darwazon mein se aik ka naam "AL-Rayyan" hai. Jis se Qayamat ke din Sirf Rozay daar dakhil hon gay.Unke ilawa koi is darwazay se dakhil nahi hoga."[1896:صحیح بخاری]



Ab Ramzan ul Mubarak ke Rozay to har Momin Aadmi rakhta hai.Aur jo Shakhs Ramzan ke Farz Rozay Jaan boojh kar nahi rakhta, woh Momin hi nahi hai. Aur woh باب الریان se kiya balki woh kisi bhi Darwaza se Jannat mein dakhil nahi hoga.Kiyun ke Imaan ke Bunyadi Rukan 11 hain. Aur in 11 Arkaan mein Roza bhi shaamil hai.
Aur Jannat mein Dakhil hone ke liye Iman Pehli shart hai.Is Hadees mein Rasool (S.A.W) Farma rahe hain ke sirf Rozay daaron ke liye woh Darwaza ho ga.Iska matlab Yeh huwa ke jo Khush naseeb Insan Farz Rozon ke sath sath Nafali Rozay bhi Kasrat ke saath Aur Regularly rakhay ga.Woh Jannat ke Darwazay "AL-Rayyan" se Dakhil hoga.Lekin jo Farz Rozay bhi nahi rakhta woh Jannat ka Haq dar nahi hai.Allah Aisay Logon ko Hidayat Ata Farmaye. آ مین ثم آمین

No comments:

Post a Comment